Anuv Jain – Alag Aasmaan (Romanized) Lyrics

Cover art for Anuv Jain - Alag Aasmaan (Romanized) by Genius Romanizations

[Verse 1]
Nayi nahi hain ye baatein wahi
Phir is modh par hum milein hain
Naa jaane ab milenge hum kabhi

To ruk jao ek pal yahan pe
Ye narm chadaron ki silvatein
Tujhe abhi bula rahin hain
Naa jao duur insein ye kahein
Ye sukoon kahan pe hai hasil?

Dil ko mere ye hai pata
Ke milon ka ye faasla hai
Alag aasmaan bhi hai to kya?
Ye dil na manay

[Verse 2]
Ye gaadiyon ki aisi daudh sa
Tera bhi dil daudhta hai

Ha ja rahe ho duur tum to kya?
Main hi to dil ka musafir

To ek baar phir tu hanske zara
Dekh le meri in aankhon mein
Main kaid kar loon har wo pal tera
Teri ye baatein jo hain

[Bridge]
To aur kya hai ye baatein bata?
Kyun ab din bhi dhalta nahin ya na ho toh?

[Verse 3]
Tum udhe ja rahe
Ye aasmaan mein khidkiyon se dekh tu pahadon ko
Yoon chhote se lage
Hai kitne bade jo ho samne

Durr jo hai khade
Unhe bhi ye humari zindagi
Yoon titliyon si choti-choti si lage
Hai kitni badi nahi jaante

[Verse 4]
Khaali ghar tera
Ye chabhiyon ki goonj aise
Tujhe dara rahi, tu darna nahi
Main hoon yahin par

Ab alag aasmaan hai
Aur hai zameen bhi kuch alag si
Par miloge jab kabhi, to dekhna tabhi
Main kuch alag nahi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *