Sahiba Lyrics – Aditya Rikhari
Sahiba, aaye ghar kaahe na
Aise to sataye na
Dekhu tujhko, chain aata hai
Sahiba, neendein veendein aaye na
Raatein kaati jaye na
Tera hi khayal din raen aata hai
Sahiba samandar
Meri aakhon mein reh gaye
Hum aate aate jaana
Teri yaadon mein reh gaye
Ye palkein gawahi hai
Hum raaton mein reh gaye
Jo vaade kiye saare
Bas baaton mein reh gaye
Baaton baaton mein hi
Khaabo khaabo mein hi
Mere kareeb hai tu…
Teri talab, mujhko teri talab jaana
Ho tu kabhi ru-baru
Shor sharaba jo seene mein hai mere
Kaise bayaan main karu
Haal jo mera hai
Main kisko batau mere sahiba
Dil na kiraaye ka
Thoda to sambhalo na
Naazuk hai, ye toot jata hai
Sahiba, neendein veendein aaye na
Raatein kaati jaye na
Tera hi khayal din raen aata hai
Kaisi bhala shab hogi wo
Sang jo tere dhalti hai
Dil ko koi khwahish nahi
Teri kami khalti hai…
Aaram na ab aakhon ko
Khwab bhi naa badalti hain
Dil ko koi khwahish nahi
Teri kami jaana khalti hai…
Sahiba, tu hi mera aayina
Hathon mein bhi mere haan
Tera hi naseeb aata hai
Sahiba, neendein veendein aaye na
Raatein kaati jaye na
Tera hi khayal din raen aata hai
Sahiba, neendein veendein aaye na
Raatein kaati jaye na
Tera hi khayal din raen aata hai